11 October, 2014

Uske bagair main_raha kuchh bhi nahi
Usse door hokar maine kaha kuchh bhi nahi

Gham_e_zindagi se musalsal ghira raha beshaq'

Par usay aakhri khat mein_maine likha kuchh bhi nahi

Yaad aata haii uska harf_ba_harf tafseer karna
Kuchh puchho toh ab saaf kehta haii kuchh bhi nahi

Harr shab guzart haii aalam_e_madhoshi mein

Hosh jo aaya toh raha yaad kuchh bhi nahi.

Kho kar mujhe usne paaya kuchh bhi nahi
Khoya haii itna maine ke ab baaki kuchh bhi nahi

Uski bhi aankhein namm thi mere aakhri lamhon mein
Jisne aakhri mulaaqat mein mujhse kaha kuchh bhi nahi.

No comments:

Post a Comment